Friday, December 21, 2012

Sach k naam:

Sach k naam:
Aj sach likhna maqsood ha mera
Dil ki baat kehna manshoor ha mera

Yahan na ban saka koe ghumgusar mera
Dunya nay dukhaya ha dil mera

Har tarf ha zulm o sitam chaya hua
Ghareeb ka koe ni,ameer ha chaya hua

Ajj b maujood han hm ma lakhon yazeed
Deen ka ha jhanda jinhon ny uthaya hua

Yazeed ny b tha apna zulm phelaya hua
Har tarf tha fareib chaya hua

Hussain Ibn e Ali ny kia kaam tamaam us ka
Phr na baqi bacha jhoot us ka

Ma b to hon Sag Hussain(A.S) k dar ka
Isi nisbat ny kia kaam asaan mera

Poet:
Nasr SJ
22/11/2012

No comments:

Post a Comment