Wednesday, March 20, 2013

Zindagi guzaarna asaan lagta ha
Ishq be ab ik kaam lagta ha

Dard e Dil to daulat hoti ha
Phr hamein kiun yeh bhaar lgta ha

kabhi to har tarf to hta ha
kabhi haail darmayan ma nafs lagta ha

Janta hon Ishq aag ka darya ha
magar tairna is ma asaan lgta ha

mast rehna khayal e Yaar ma har waqt
yehi hamein ishq ka raaz lagta ha

baich do dil aey dewano
Yaar ka bazaar sar e aam lgta ha

Poet:
Nasr SJ
19/03/2013

Thursday, February 14, 2013

Dil ma khayal atay hain ajeeb sy
janay kia milay ga is naseeb sy

Dard, Takleef Ranj o Gham
kia yehi ha Rakht e Safar k liay

Phr khushi aur bahaar ha kis liay
yeh haar singhaar ha kis liay

Ayub ka Sabar aur Yaqoob ka Hijr
kia zaroori ha wasl k liay

Islam,Issaeyat,Yahoodiat ya koe Mazhab
kia zarori ha teray Ishq k liay

Mullah,Pandat,Paadri aur Mufti
Lazim han kia teri tashreeh k liay

mujay is badan ma qaid kia gya ha
kia jism zarori ha Rooh k liay

Poet:
Nasr SJ
14/02/2013